aah ko naghma ki naghme ko fughan karna paDe
dekhiye kya kuchh barae dostan karna paDe
ahl-e-mahfil ghaur se sunte rahen rudad-e-dil
kya KHabar kis lafz ko kab dastan karna paDe
rakh jabin-e-shauq mein mahfuz garmi-e-niyaz
kaun jaane tujh ko ek sajda kahan karna paDe
puchhiye us se zaban-o-lafz ki majburiyan
jis ko haal-e-dil nigahon se bayan karna paDe
kuchh wahi samjhega 'nazish' aaj ke mahaul ko
jis ko zindan par yaqin-e-gulsitan karna paDe

Ghazal
Aah ko naghma ki naghme ko fughan karna paDe
Nazish Partap Gadhi