aah ko baad-e-saba dard ko KHushbu likhna
hai baja zaKHm-e-badan ko gul-e-KHud-ru likhna
dard bhigi hui raaton mein chamak uTTha hai
hum ko likhna hai to barsat ka jugnu likhna
KHwab Takra ke haqaeq se hue sad-para
ab inhen aankh se Dhalke hue aansu likhna
tu ne sulatani-e-jamhur badal din qadren
aaj farhad ko mushkil nahin KHusraw likhna
ab munasib nahin ham-asr ghazal ko yaro
kisi bajti hui pazeb ka ghunghru likhna
hunar-afshani-e-KHama ko dua do ki 'faza'
lafz ko sahl hua nafa-e-ahu likhna
Ghazal
Aah ko baad-e-saba dard ko KHushbu likhna
Faza Ibn e Faizi