aah kab lab par nahin hai dagh kab dil mein nahin 
kaun si shab hai ki garmi apni mahfil mein nahin 
bazm ki kasrat se andesha mere dil mein nahin 
dil mein us ki hai jagah mere jo mahfil mein nahin 
panja-e-mizhgan-e-tar ne ye uDain dhajjiyan 
tar baqi ek bhi daman-e-sahil mein nahin 
KHun-e-nahaq ka hamare dagh miTne ka nahin 
tegh mein hoga agar daman-e-qatil mein nahin 
parda-dar chehra-e-yusuf nahin hai har naqab 
husn-e-laila jalwa-gar har ek mahfil mein nahin 
najd ka sahra ajab sahra-e-wahshat-KHez hai 
qais kya laila ko bhi aaram manzil mein nahin 
jis taraf ji chahega mera nikal jaunga main 
saikaDon darwaze hain halqe salasil mein nahin 
had se bahar panw jo rakhta hai hota hai KHarab 
ghar mein jo rahat musafir ko hai manzil mein nahin 
Dubte jate hain kyunkar log hairat hai mujhe 
qadd-e-adam aab bahr-e-tegh-e-qatil mein nahin 
ho gaya dahshat se aisa bismilon ka KHun KHushk 
ek bhi dhabba lahu ka tegh-e-qatil mein nahin
 
        Ghazal
Aah kab lab par nahin hai dagh kab dil mein nahin
Muzaffar Ali Aseer

