aah hum hain aur shikasta-paiyan
ab kahan wo baadiya-paimaiyan
bahr-e-gham hai aur dil-e-KHalwat-pasand
baada hi baada hai aur gahraiyan
ghaflaten ab su-e-manzil le chalin
hoti jati hain KHajil danaiyan
mere talwon ke lahu ka faiz hai
ye kahan thin dasht mein ranaiyan
farq kya hai zindagi o maut mein
uf mohabbat ki qayamat-zaiyan
phir na ubhra jo koi Duba yahan
uf-re bahr-e-ishq ki gahraiyan
josh-e-tufan hai ki maujon ka KHarosh
ab liye hai god mein gahraiyan
le uDa nashsha KHayal-e-yar ka
aa gain hum ko falak-paimaiyan
donon aalam Dub kar gum ho gae
allah allah qalb ki gahraiyan
sar se uncha ho gaya pani 'jigar'
muntazir thin bahr ki gahraiyan
Ghazal
Aah hum hain aur shikasta-paiyan
Jigar Barelvi