aah-e-be-asar nikli nala na-rasa nikla
ek KHuda pe takiya tha wo bhi aap ka nikla
kash wo mariz-e-gham ye bhi dekhta aalam
chaaragar ye kya guzri dard jab dawa nikla
ahl-e-KHair Dube the nekiyon ki masti mein
jo KHarab-e-sahba tha bas wo parsa nikla
KHizr jaan kar hum ne jis se rah puchhi thi
aa ke bich jangal mein kya bataen kya nikla
gir gaya andhere mein tere mehr ka suraj
dard ke samundar se chand yaad ka nikla
ishq kya hawas kya hai bandish-e-nafas kya hai
sab samajh mein aaya hai tu jo bewafa nikla
jis ne di sada tum ko shama ban ke zulmat mein
rah-gazidgan dekho kis ka naqsh-e-pa nikla
ek nawa-e-rafta ki bazgasht thi 'qaisi'
dil jise samajhte the dasht-e-be-sada nikla
Ghazal
Aah-e-be-asar nikli nala na-rasa nikla
Aziz Qaisi