aah bharta hun to bharne bhi nahin deta hai
aur wo KHamoshi se marne bhi nahin deta hai
naKHuda kashti ko sahil se lagata bhi nahin
beach dariya mein utarne bhi nahin deta hai
dusra zaKHm laga deta hai dil par mere
pahle ko Thik se bharne bhi nahin deta hai
mere aansuon se wo sang pighalta bhi nahin
sar paTak kar mujhe marne bhi nahin deta hai
baz aata bhi nahin zarb lagane se wo
TuT kar mujh ko bikharne bhi nahin deta hai
mere sapnon ko wo sach bhi nahin hone deta
magar ummid ko marne bhi nahin deta hai
aaine ko mere chehre se shikayat hai bahut
aaina mujh ko sanwarne bhi nahin deta hai
us ki mahfil mein pahunchne ki tamanna mat kar
wo to kuche se guzarne bhi nahin deta hai
Ghazal
Aah bharta hun to bharne bhi nahin deta hai
Ahmad Kamal Hashmi