aah ai sauda-e-KHam-e-arzu
ta-ba-kai aaKHir nizam-e-arzu
zabt-e-ah-e-dil-shikan aur main hazin
kar raha hun ehtiram-e-arzu
hoshiyar ai infial-e-kaif-za
husn tak pahuncha payam-e-arzu
chashm-e-lutf-agin nae andaz se
le rahi hai intiqam-e-arzu
ahl-e-dil zinda hain kis ummid par
nazm-e-duniya hai nizam-e-arzu
yas ki gunjaishen kis dil mein hain
le raha hai kaun nam-e-arzu
bazm-e-anjum jab sarapa-gosh thi
kash tum sunte payam-e-arzu
aah ab KHuddari-e-akbar kahan
ho gai wo bhi ghulam-e-arzu
Ghazal
Aah ai sauda-e-KHam-e-arzu
Akbar Haidri