aaghosh-e-tasawwur mein jab main ne use maska
lab-ha-e-mubarak se ek shor tha bas bas ka
sau bar harir us ka maska nigah-e-gul se
shabnam se kab ai bulbul pairahan-e-gul maska
us tan ko nahin taqat shabnam ke talabbus se
ai dast-e-hawas is par tu qasd na kar mas ka
malti hai pari aankhen aur hur jabin sa hai
hai naqsh-e-jahan yaro us pa-e-muqaddas ka
tar rakhiyo sada ya-rab tu is mizha-e-tar ko
hum itr lagate hain garmi mein isi KHas ka
is girya-e-KHunin ki daulat se 'nazir' apne
ab kalba-e-ahzan mein kul farsh hai atlas ka
Ghazal
Aaghosh-e-tasawwur mein jab maine use maska
Nazeer Akbarabadi