aaghosh-e-rang-o-bu ke fasane mein kuchh nahin
hasrat nikal gai to zamane mein kuchh nahin
mayusiyon mein husn bhi raushan nahin raha
dil bujh gaya to shama jalane mein kuchh nahin
saqi ke kaif-e-baada-e-parina ki qasam
science ke jadid KHazane mein kuchh nahin
ek husn-e-nim-KHwab ka aalam hi aur hai
soi hui ada ko jagane mein kuchh nahin
fitrat nai zamana naya zindagi nai
kohna KHuda ko pujte jaane mein kuchh nahin
tera hi ek aks tha har su nazar-fareb
dekha to mere aaina-KHane mein kuchh nahin
kuchh zikr-e-jam-o-shahid-o-mai kijiye 'nushur'
hosh o KHirad ke sard fasane mein kuchh nahin
Ghazal
Aaghosh-e-rang-o-bu ke fasane mein kuchh nahin
Nushur Wahidi