aaghosh-e-ehtiyat mein rakh lun jigar kahin
Darta hun le uDe na kisi ki nazar kahin
ghurbat mein ajnabi ka bhi hota hai ghar kahin
din-bhar kahin guzariye ya raat-bhar kahin
aghyar hun kahin but-e-shorida-sar kahin
sab kuchh ho aah mein to ho apni asar kahin
yun uf na bagh-e-dahr mein barbaadi ho koi
bulbul ka aashiyan hai kahin baal-o-par kahin
main aaj apni aah ka karta hun imtihan
hon aasman zamin na zer-o-zabar kahin
qaid-e-qafas mein hasrat-e-parwaz kyun rahe
sayyaad jo uDa de mere baal-o-par kahin
rahti hai un ki yaad mere dil mein har ghaDi
'auj' un ke dil mein kash ho mera bhi ghar kahin
Ghazal
Aaghosh-e-ehtiyat mein rakh lun jigar kahin
Raj Bahadur Saxena Auj