aage pichhe us ka apna saya lahraata raha
KHauf se us shaKHs ka chehra sada pila raha
subh ko dekha to wo mujh se tha bilkul ajnabi
raat bhar jo jism ke andar mujhe takta raha
kaisa diwana tha sab kuchh jaan kar anjaan tha
har kisi se wo gale milta raha rota raha
ye KHata meri thi tujh ko main ne pahchana nahin
aaine mein jaane mujh ko kya nazar aata raha
KHud-numai ke liye tarkib thi achchhi bahut
log sab KHamosh the wo kuchh na kuchh kahta raha
hum ne diwaron pe us ko kar diya chaspan magar
apne ghar mein wo baDe aaram se soya raha
sab barhana-tan hue 'manzur' jab mahfil ki jaan
apne ghar mein chhup ke KHamoshi se main baiTha raha
Ghazal
Aage pichhe us ka apna saya lahraata raha
Hakeem Manzoor