aage pahuncha jal ka dhaara bajra pichhe chhuT gaya
rasta chhoD sawaron ko main piyaada pichhe chhuT gaya
ye basti kaun si basti hai aa ke kahan bas Thahar gai
jis dham utarna chaha tha wo qasba pichhe chhuT gaya
aage aage lambi Dagar hai ret bhare maidanon ki
jis taT ek pal Thahre the wo dariya pichhe chhuT gaya
baiThe hain sailani sare patjhaD hai wishwason ka
mandir chhuTa girja chhuTa kaba pichhe chhuT gaya
waqt ki KHana-bandi sari ab ke safar mein dhul hui
mazi kaisa haal kahan ka farda pichhe chhuT gaya
kitne kuchh the jiwan-sathi kitne kuchh the lahu sharik
chehra sab ka sath hai lekin rishta pichhe chhuT gaya
chhoTa kamra habs bala ka chhoTi aql ke aashiq hum
wahshat karne jaen kahan jab sahra pichhe chhuT gaya
Ghazal
Aage pahuncha jal ka dhaara bajra pichhe chhuT gaya
Nashtar Khaanqahi