اردو हिंदी
Aage kuchh uske zikr-e-dil-e-zar mat karo | Shaahi Shayari
aage kuchh uske zikr-e-dil-e-zar mat karo

Ghazal

Aage kuchh uske zikr-e-dil-e-zar mat karo

Qayem Chandpuri

;

aage kuchh us ke zikr-e-dil-e-zar mat karo
sab KHairiyat hai us se kuchh izhaar mat karo

jaane do jo nasib mein hona tha so hua
yaro KHuda ke waste takrar mat karo

aaina le ke pahle tanik saj to dekh lo
milne ka ghair ke abhi inkar mat karo

sar chaDh raha hai kal yunhi aashiqon ke yan
paTTi se tum ye baal numudar mat karo

ai aah-o-nala chhup ke main aaya hun is jagah
aalam ko shor kar ke KHabar-dar mat karo

apni bisat mein to yahi jins-e-dil hai yan
go ab pasand is ko KHaridar mat karo

pyare kamar kahan hai tumhaare yunhi ba-zan
sun kar kisi se jhuT par israr mat karo

'qaem' wo tab kahe tha shab ahwal-e-KHalq dekh
mujh sa to haq kisi ko trahdar mat karo