aage harim-e-gham se koi rasta na tha
achchha hua ki sath kisi ko liya na tha
daman-e-chaak chaak gulon ko bahana tha
dil ka jo rang tha wo nazar se chhupa na tha
rang-e-shafaq ki dhup khili thi qadam qadam
maqtal mein subh-o-sham ka manzar juda na tha
kya bojh tha ki jis ko uThae hue the log
muD kar kisi ki samt koi dekhta na tha
kuchh itni raushni mein the chehron ke aaine
dil us ko DhunDhta tha jise jaanta na tha
kuchh log sharmsar KHuda jaane kyun hue
apne siwa hamein to kisi se gila na tha
har ek qadam uTha tha nae mausamon ke sath
wo jo sanam tarash tha but pujta na tha
jis dar se dil ko zauq-e-ibaadat ata hua
us aastan-e-shauq pe sajda rawa na tha
aandhi mein barg-e-gul ki zaban se ada hua
wo raaz jo kisi se abhi tak kaha na tha
Ghazal
Aage harim-e-gham se koi rasta na tha
Ada Jafri