aage aage shar phailata jata hun
pichhe pichhe apni KHair manata hun
patthar ki surat be-his ho jata hun
kaisi kaisi choTen sahta rahta hun
aaKHir ab tak kyun na tumhein aaya main nazar
jaane kahan kahan to dekha jata hun
sanson ke aane jaane se lagta hai
ek pal jita hun to ek pal marta hun
dariya baalu moram Dho kar lata hai
main us ka sab mal uDa le aata hun
ab to main hathon mein patthar le kar bhi
aaine ka samna karte Darta hun
Ghazal
Aage aage shar phailata jata hun
Ghulam Murtaza Rahi