اردو हिंदी
Aagahi sud-o-ziyan ki koi mushkil bhi nahin | Shaahi Shayari
aagahi sud-o-ziyan ki koi mushkil bhi nahin

Ghazal

Aagahi sud-o-ziyan ki koi mushkil bhi nahin

Javed Vashisht

;

aagahi sud-o-ziyan ki koi mushkil bhi nahin
hasil-e-umr magar umr ka hasil bhi nahin

aankh uThao to hijabaat ka ek aalam hai
dil se dekho to koi rah mein hail bhi nahin

dil to kya jaan se bhi inkar nahin hai lekin
dil hai badnam bahut phir tere qabil bhi nahin

uljhanen lakh sahi zist mein lekin yaro
raunaq-e-bazm-e-jahan nazr-e-masail bhi nahin

tere diwane KHuda jaane kahan ja nikle
der se dasht mein aawaz-e-salasil bhi nahin

dard ki aanch bana deti hai dil ko iksir
dard se dil hai agar dard nahin dil bhi nahin

ghaur se dekho to ye zist hai zaKHmon ka chaman
aur 'jawed' ba-zahir koi ghail bhi nahin