اردو हिंदी
Aagahi mein ek KHala maujud hai | Shaahi Shayari
aagahi mein ek KHala maujud hai

Ghazal

Aagahi mein ek KHala maujud hai

Abdul Hamid Adam

;

aagahi mein ek KHala maujud hai
is ka matlab hai KHuda maujud hai

hai yaqinan kuchh magar wazeh nahin
aap ki aankhon mein kya maujud hai

bankpan mein aur koi shai nahin
sadgi ki intiha maujud hai

hai mukammal baadshahi ki dalil
ghar mein gar ek boriya maujud hai

shauqiya koi nahin hota ghalat
is mein kuchh teri raza maujud hai

is liye tanha hun main garm-e-safar
qafile mein rahnuma maujud hai

har mohabbat ki bina hai chashni
har lagan mein muddaa maujud hai

har jagah har shahr har iqlim mein
dhum hai us ki jo na-maujud hai

jis se chhupna chahta hun main 'adam'
wo sitamgar ja-ba-ja maujud hai