aagahi ke dar khule to zindagi achchhi lagi
ham-damon ki bhiD mein begangi achchhi lagi
shahr ke har moD par aawaz ke jangal mile
hum ko apne ganw hi ki KHamushi achchhi lagi
yun to hum dete rahe tere sawalon ka jawab
han magar ai dost teri sadgi achchhi lagi
tajziya haalat ka hum har tarah karte rahe
jab samajh aajiz hui be-maegi achchhi lagi
waqif-e-adab-e-mai-KHana hua to 'nur' ko
mai-kashi ke bil-muqabil tishnagi achchhi lagi
Ghazal
Aagahi ke dar khule to zindagi achchhi lagi
Noor muneeri