اردو हिंदी
Aagahi kab yahan palkon pe sahi jati hai | Shaahi Shayari
aagahi kab yahan palkon pe sahi jati hai

Ghazal

Aagahi kab yahan palkon pe sahi jati hai

Mohsin Shakeel

;

aagahi kab yahan palkon pe sahi jati hai
baat ye shiddat-e-girya se kahi jati hai

hum use anfus o aafaq se rakhte hain pare
sham koi jo tere gham se tahi jati hai

ek zara Thahr abhi mohlat-e-benam-o-nishan
darmiyan baat koi hum se rahi jati hai

garmi-e-shauq se pighli tere didar ki lau
tez ho kar mari aankhon se bahi jati hai

shaKH-e-nazuk se dam-e-tez hawa-e-furqat
na-tawani kahan patton ki sahi jati hai

harf-e-inkar likha jis pe hawa ne kal tak
rahguzar dil ki taraf aaj wahi jati hai

jae jati nahin zulmat magar akasr 'mohsin'
ek diya us ki taraf ho to yahi jati hai