aagahi aur aagahi dijiye aagahi kuchh aur
tirgi ghor ghor hai phenkiye raushni kuchh aur
is ka KHuda sanam sanam us ka KHuda haram haram
ishq ki gumrahi kuchh aur aql ki gumrahi kuchh aur
us ki tahi hai jeb aur is ka dimagh hai tahi
us ki hai muflisi kuchh aur is ki hai muflisi kuchh aur
naz tera chaman chaman raaz tera dahan dahan
kahti hai tirgi kuchh aur kahti hai raushni kuchh aur
kahti hai dopahar ki dhup mera mizaj garm hai
lekin ujali raat mein kahti hai chandni kuchh aur
bad hai koi na nek hai donon ka maqsad ek hai
garche hai rahzani kuchh aur garche hai rahbari kuchh aur
garche KHuda ko aap ne mah-e-laqa bana diya
us ke firaq mein 'jamil' kijiye shaeri kuchh aur
Ghazal
Aagahi aur aagahi dijiye aagahi kuchh aur
Jameel Mazhari