اردو हिंदी
Aaghaz hua hai ulfat ka ab dekhiye kya kya hona hai | Shaahi Shayari
aaghaz hua hai ulfat ka ab dekhiye kya kya hona hai

Ghazal

Aaghaz hua hai ulfat ka ab dekhiye kya kya hona hai

Afsar Merathi

;

aaghaz hua hai ulfat ka ab dekhiye kya kya hona hai
ya sari umr ki rahat hai ya sari umr ka rona hai

shayad tha bayaz-e-shab mein kahin iksir ka nusKHa bhi koi
ai subh ye teri jholi hai ya duniya bhar ka sona hai

tadbir ke hathon se goya taqdir ka parda uThta hai
ya kuchh bhi nahin ya sab kuchh hai ya miTi hai ya sona hai

TuTe jo ye band-e-hayat kahin is shor-o-shar se najat mile
mana ki wo duniya ai 'afsar' sirf ek lahad ka kona hai