اردو हिंदी
Aaghaz-e-gul hai shauq magar tez abhi se hai | Shaahi Shayari
aaghaz-e-gul hai shauq magar tez abhi se hai

Ghazal

Aaghaz-e-gul hai shauq magar tez abhi se hai

Tabish Dehlvi

;

aaghaz-e-gul hai shauq magar tez abhi se hai
yani hawa-e-bagh junun-KHez abhi se hai

josh-e-talab hi maujib-e-darmandagi na ho
manzil hai dur aur qadam tez abhi se hai

kya irtibaat-e-husn-o-mohabbat ki ho umid
wo jaan-e-shauq hum se kam-amez abhi se hai

tartib-e-karwan mein bahut der hai magar
aawaza-e-jaras hai ki mahmez abhi se hai

pahli hi zarb-e-tesha se koh-e-giran hai chur
hasrat-maal satwat-e-parwez abhi se hai

kya jaane mai-kashon ka ho kya hashr subh tak
saqi ki har nigah dil-awez abhi se hai

ye ibtida-e-shauq ye pur-shauq dil mira!
ek jam-e-atishin hai ki labrez abhi se hai

'tabish' bhari bahaar mein koi bichhaD gaya
ab ke chaman mein bu-e-KHizan tez abhi se hai