aagah apni maut se koi bashar nahin
saman sau baras ka hai pal ki KHabar nahin
aa jaen rob-e-ghair mein hum wo bashar nahin
kuchh aap ki tarah hamein logon ka Dar nahin
ek to shab-e-firaq ke sadme hain jaan-gudaz
andher is pe ye hai ki hoti sahar nahin
kya kahiye is tarah ke talawwun-mizaj ko
wade ka hai ye haal idhar han udhar nahin
rakhte qadam jo wadi-e-ulfat mein be-dhaDak
'hairat' siwa tumhaare kisi ka jigar nahin

Ghazal
Aagah apni maut se koi bashar nahin
Hairat Allahabadi