aag thi aisi ki arman jal gae
dil ke kaghaz aansuon mein gal gae
rang hai KHushbu bhi hai saya bhi hai
kis nagar ai peD tere phal gae
khet ki miTTi ko viran dekh kar
ganw wale DhunDne baadal gae
sah chuki sab dhup pani ke azab
zindagi aaKHir tere kas-bal gae
jagti aankhen thin apni aur hum
KHwab ke aangan mein pal do pal gae
jehl ka saya qad-awar jab hua
khoTe sikke har taraf phir chal gae
shahr ke sapne sajaane ai 'sadaf'
be-tahasha dauDte jangal gae

Ghazal
Aag thi aisi ki arman jal gae
Sadaf Jafri