aag sinon mein jala kar rakhiye
KHwab aankhon mein basa kar rakhiye
rahaton se lage sadme bhi hain
dil ko mazbut bana kar rakhiye
id ka din hai gale mil lije
iKHtilafat haTa kar rakhiye
nafraten dil se nikal jaengi
hath dushman se mila kar rakhiye
tab-e-zanjir nahin hai dil ko
zulf-e-pechan ko saja kar rakhiye
yaad aa jaegi diwane ki
phul joDe mein laga kar rakhiye
jaane wala na kabhi aaega
dil mein yaadon ko basa kar rakhiye
ishq ki aag hai munh-zor 'salam'
apne daman ko bacha kar rakhiye
Ghazal
Aag sinon mein jala kar rakhiye
Abdul Salam