aag si barasti hai sabz sabz patton se
dur bhagte hain log shahr ke daraKHton se
pichhli raat jab har su zulmaton ka pahra tha
ek chand nikla tha in hasin darichon se
jaane chhu gae honge kis ke phul se panw
ek mahak si uThti hai is nagar ke raston se
aaj ke zamane mein kis ko hai sukun hasil
sab hain bar-sar-e-paikar apni apni sochon se
tirgi se bhi jis ki phul se jhaDen 'betab'
kyun wo raushni mange dusron ki subhon se
Ghazal
Aag si barasti hai sabz sabz patton se
Saleem Betab