aag se sairab dasht-e-zindagani ho gaya
shoala-e-dil aankh mein aaya to pani ho gaya
dard sine mein uTha mathe pe shiknen paD gain
rang chehre ka sada-e-be-zabani ho gaya
teri aankhen aaina hathon mein le kar aa gain
ru-ba-ru ho kar tere main apna sani ho gaya
jab bhaDak uTTha tha tere qurb se mera badan
nam un hassas lamhon ka jawani ho gaya
kar diya tha main ne jo aawara patton par raqam
raaz wo ruswa hawaon ki zabani ho gaya
ek an-miT raushni tha arsh ki mehrab par
aadmi ke rup mein aa kar main fani ho gaya
jin ke sinon mein dhaDakta tha 'muzaffar' mera dil
aaj main un ke liye bhuli kahani ho gaya
Ghazal
Aag se sairab dasht-e-zindagani ho gaya
Muzaffar Warsi