اردو हिंदी
Aag lag jaegi ek din meri sarshaari ko | Shaahi Shayari
aag lag jaegi ek din meri sarshaari ko

Ghazal

Aag lag jaegi ek din meri sarshaari ko

Dilawar Ali Aazar

;

aag lag jaegi ek din meri sarshaari ko
main jo deta hun hawa ruh ki chingari ko

warna ye log kahan apni hadon mein rahte
main ne maqul kiya hashiya-bardari ko

ye parinde hain ki darwesh hain zindanon ke
kuchh samajhte hi nahin amr-e-giraftari ko

ab hamein zindagi karne mein suhulat di jae
khinch lae hain yahan tak to giran-bari ko

ek tufan-e-bala-KHez ne manzar badla
peD tayyar hue rasm-e-nigun-sari ko

us ne wo zahr hawaon mein milaya hai ki ab
konplen sar na uThaengi numudari ko

kaun khinga mere jism ki zanjir 'azar'
kaun aasan karega meri dushwari ko