aag ke sath main bahta hua pani sunna
raat-bhar apne anasir ki sunani sunna
dekhna rose andheron mein shuaon ki numu
pattharon mein kisi dariya ki rawani sunna
wo sunaengi kabhi meri kahani tum ko
tum hawaon se kabhi meri kahani sunna
meri KHamoshi meri mashq hai is mashq mein tum
mar kar tir meri tishna-dahani sunna
umr na-kafi hai is hijrat-e-awwal ke liye
phir janam lun to meri hijrat-e-sani sunna
kam-sini par hai ajab haal tumhaara yaro
sun lo aasan nahin us ki jawani sunna
git mere jo pasand aate hain itne tum ko
inhin giton ki kabhi marsiya-KHwani sunna
kya naya tum ko sunaun ki naya kuchh bhi nahin
nae lafzon mein wahi baat purani sunna

Ghazal
Aag ke sath main bahta hua pani sunna
Ameer Imam