aag ke phul pe shabnam ke nishan DhunDoge
tum haqiqat ke liye wahm-o-guman DhunDoge
kaun si aas mein ye sara jahan DhunDoge
ek aawara si KHushbu ko kahan DhunDoge
sath kuchh roz ka hai rasta chalte logo
hum chale jaenge qadmon ke nishan DhunDoge
tir tarkash mein agar bach bhi gae to kya hai
mil na paegi kahin apni kaman DhunDoge
raat ki god mein KHushiyon ke sitare bhar lo
phir to suraj ko liye aisa saman DhunDoge
jab chale jaenge banjare bahaaren le kar
phul walon ki nagar bhar mein dukan DhunDoge
is sarae se nikal aage baDhoge jab bhi
chand taron se pare apna makan DhunDoge
Ghazal
Aag ke phul pe shabnam ke nishan DhunDoge
Deepak Qamar