aag ke darmiyan se nikla
main bhi kis imtihan se nikla
phir hawa se sulag uThe patte
phir dhuan gulsitan se nikla
jab bhi nikla sitara-e-ummid
kohr ke darmiyan se nikla
chandni jhankti hai galiyon mein
koi saya makan se nikla
ek shoala phir ek dhuen ki lakir
aur kya KHak-dan se nikla
chand jis aasman mein Duba
kab usi aasman se nikla
ye guhar jis ko aaftab kahen
kis andhere ki kan se nikla
shukr hai us ne bewafai ki
main kaDe imtihan se nikla
log dushman hue usi ke 'shakeb'
kaam jis mehrban se nikla

Ghazal
Aag ke darmiyan se nikla
Shakeb Jalali