aag ka rishta nikal aae koi pani ke sath
zinda rah sakta hun aisi hi KHush-imkani ke sath
tum hi batlao ki us ki qadr kya hogi tumhein
jo mohabbat muft mein mil jae aasani ke sath
baat hai kuchh zinda rah jaana bhi apna aaj tak
lahar thi aasudgi ki bhi pareshani ke sath
chal raha hai kaam sara KHub mil-jul kar yahan
kufr bhi chimTa hua hai jazb-e-imani ke sath
farq paDta hai koi logon mein rahne se zarur
shahr ke aadab the apni bayabani ke sath
ye wo duniya hai ki jis ka kuchh Thikana hi nahin
hum guzara kar rahe hain dushman-e-jaani ke sath
raegani se zara aage nikal aae hain hum
is dafa to kuchh girani bhi hai arzani ke sath
apni marzi se bhi hum ne kaam kar Dale hain kuchh
lafz ko laDwa diya hai beshtar mani ke sath
faslon hi faslon mein jaan se haara 'zafar'
ishq tha lahoriye ko ek multani ke sath
Ghazal
Aag ka rishta nikal aae koi pani ke sath
Zafar Iqbal