aag jo dil mein lagi hai wo bujha di jae
phir koi taza ghazal aaj suna di jae
zinat-e-jism bane ruh ko chhalni kar de
aisi har rasm zamane se miTa di jae
sunte hain ishq ka bazar bahut garm hai phir
qimat-e-husn zara aur baDha di jae
ek jhalak ke liye sau bar sar-e-baam gaya
aatish-e-shauq ko kuchh aur hawa di jae
raaz sine mein daba hai jo sar-e-bazm kahun
sirf ek bar mujhe us ki raza di jae
zindagi dhup mein jalte hue kaTi jis ne
saya mil jae koi us ko dua di jae
ja-ba-ja aks meri aankhon mein ubhre jis ka
us ki taswir bhi ab dil se haTa di jae
waqt aajil hai safar tul hai dam aankhon mein
ruKH-e-jaanan se naqab ab to uTha di jae
tishnagi aankh ki kam ho koi surat nikle
pas-e-parda hi jhalak kash dikha di jae
munjamid koh-e-nida par hai taghaful se tere
hiddat-e-chashm-e-karam us pe luTa di jae
muskuraate hue sar sine pe rakh kar bole
maraz-e-ishq hai lazim hai dawa di jae
ye bhi mumkin hai magar tab ki wo KHud aa ke kahe
baat jo dil ko dukhati hai bhula di jae
Ghazal
Aag jo dil mein lagi hai wo bujha di jae
Asra Rizvi