aag jab zaKHm-e-jigar be-intiha dene lage
chaara-gar ghabra ke uf uf ki sada dene lage
ab kahan tha main jo deta is mohabbat ka jawab
jis ki turbat dekh li mujh ko sada dene lage
daman-e-sabr-o-tahammul hath se KHud chhuT gaya
TuT kar zaKHmon ke Tanke jab sada dene lage
hijr ki raaton ke sannaTe mein uf ri be-KHudi
hum dil-e-gum-gashta ko apni sada dene lage
hath bhi ghabra ke main ne qalb-e-nazuk par rakhe
jab zara si choT mein shishe sada dene lage
jaankani ka waqt bhi baqi rahe tum bhi raho
dekhne aae to kya achchhi dagha dene lage
mai-kade mein hum se maston ki KHushi kya ranj kya
mil gae do-chaar saghar aur dua dene lage
munhasir marne pe ho jab surat-e-taskin-e-dil
kosna main is ko samjhun jo dua dene lage
zalim-o-mazlum ka mahfil mein kal nikla tha zikr
wo hamara aur hum un ka pata dene lage
marne wale phir na ai 'jawed' kholen apni aankh
gar qasam baDhti hui un ki haya dene lage

Ghazal
Aag jab zaKHm-e-jigar be-intiha dene lage
Javed Lakhnvi