aag ek aur laga denge hamare aansu
nikle aankhon se agar dil ke sahaare aansu
hasil-e-KHun-e-jigar dil ke hain pare aansu
be-baha lal-o-guhar hain ye hamare aansu
hai koi ab jo lagi dil ki bujhae meri
hijr mein roke ganwa baiTha hun sare aansu
us masiha ki jo furqat mein hun roya shab-bhar
ban gae charKH-e-chahaarum ke sitare aansu
KHun-e-dil KHun-e-jigar bah gaya pani ho kar
kuchh na kaam aae mohabbat mein hamare aansu
mujh ko sone na diya ashk-fishani ne meri
raat bhar ginte rahe charKH ke tare aansu
wo sanwar kar kabhi aae jo tasawwur mein mere
chashm-e-mushtaq ne sadqe mein utare aansu
pas ruswai ne chhoDa na sukun ka daman
girte girte ruke aankhon ke kinare aansu
lutf ab aaya meri ashk-fishani ka huzur
pyari aankhon se kisi ke bahe pyare aansu
meri qismat mein hai rona mujhe ro lene do
tum na is tarah bahao mere pyare aansu
mah-o-anjum pe na phir apne kabhi naz kare
dekh le charKH kisi din jo hamare aansu
yun hi tufan jo uThate rahe kuchh din 'naushad'
aag duniya mein laga denge hamare aansu
Ghazal
Aag ek aur laga denge hamare aansu
Naushad Ali