aag dariya ko ishaaron se lagane wala
ab ke ruTha hai bahut mujh ko manane wala
mere chehre pe nai sham khilane wala
jaane kis or gaya bazm sajaane wala
nind TuTe to use dekh ke aaun main bhi
wo hai aankhon mein nae KHwab sajaane wala
raat aankhon mein kaTi din ko rahi bechaini
kaisa hamdard hua dard miTane wala
zard mausam to kahin saKHt qawaed jaanan
naghma kuchh aur nahin dil ko dukhane wala
ashk aankhon se Tapakte hain bahut 'khullar'ji
un mein ab rang bharo tum hi zamane wala
Ghazal
Aag dariya ko ishaaron se lagane wala
Vishal Khullar