aag bahte hue pani mein lagane aai
tere KHat aaj main dariya mein bahane aai
phir teri yaad nae KHwab dikhane aai
chandni jhil ke pani mein nahane aai
din saheli ki tarah sath raha aangan mein
raat dushman ki tarah jaan jalane aai
main ne bhi dekh liya aaj use ghair ke sath
ab kahin ja ke meri aql Thikane aai
zindagi to kisi rahzan ki tarah thi 'anjum'
maut rahbar ki tarah rah dikhane aai
Ghazal
Aag bahte hue pani mein lagane aai
Anjum Rehbar