aag apne hi daman ki zara pahle bujha lo
fursat ho to phir hum ko bhi jalne se bacha lo
ai qismat-e-farda ke KHush-aind KHayalo
raaten na sahi din hi mere aa ke ujalo
patthar ke sanam bhi kabhi kuchh bol sake hain
ai but-shikan azhan ke KHamosh sawalo
tum mein to mera aahu-e-KHush-gam nahin hai
ai wadi-e-taKHill ke gum-gashta ghazalo
miTti hui taswir mein kya rang bharoge
miTna tha jinhen miT gae tum KHud ko sambhaalo
ek dard ki daulat tumhein hum saunp chale hain
ab us ko luTa do ki hayat apni bana lo
baad-e-sahari phul khila aai chaman mein
kuchh tum bhi lahu apne shahidon ka uchhaalo
in rahon mein wo naqsh-e-kaf-e-pa to nahin hai
kyun phuT ke roe ho yahan panw ke chhaalo
chehre pe thakan baalon mein gard aankhon mein surKHi
lamba hai safar panw ke kanTe to nikalo
phir saat-e-didar 'wahid' aae na aae
taswir bana kar unhen aankhon mein chhupa lo
Ghazal
Aag apne hi daman ki zara pahle bujha lo
Waheed Akhtar