aaftab ab nahin nikalne ka
daur aaya sharab Dhalne ka
sanp kahte hain zulf ko shair
kaam karte hain munh kuchalne ka
lakh hum chikni-chupDi baat karen
un ka dil ab nahin phisalne ka
sifat-e-lab mein sher kahte hain
ab irada hai lal ugalne ka
kuTte hain jo apna hum sina
hai ewaz chhatiyan masalne ka
kyun na har tarz mein ho baat nai
pan hai qabu zaban badalne ka
ek bose ki bhi jamae ab
qasd hai un ko missi malne ka
naKHl-e-matam ke sae mein na Thahar
hai musafir jo qasd chalne ka
chashm-poshi se tifl-e-ashk apna
Dhang sikha hai ab machalne ka
hifz-e-tir-e-nigah hai ain KHata
nahin paigham maut Talne ka
hum bhi khela karenge jaan par ab
shaghl achchha hai dil bahalne ka
'mehr' hirba se dosti ta-chand
gham nahin rang ke badalne ka
Ghazal
Aaftab ab nahin nikalne ka
Hatim Ali Mehr