اردو हिंदी
Aaftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab | Shaahi Shayari
aaftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab

Ghazal

Aaftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab

Ahmad Husain Mail

;

aaftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab
rind samjhen ki hai sadiq sahar-e-jam-e-sharab

sab ke hathon pe tha shab-bhar safar-e-jam-e-sharab
har KHat-e-dast bana rah-guzar-e-jam-e-sharab

duKHtar-e-raz pe giren mast patangon ki tarah
sham-e-mahfil ho ye laKHt-e-jigar-e-jam-e-sharab

tham le dast-e-subu aae jo chalne mein lachak
KHat-e-baghdad ho mu-e-kamar-e-jam-e-sharab

tur-e-sina ka guman ho KHum-e-mai par sab ko
is tarah hosh uDao asar-e-jam-e-sharab

saghar-e-mai mein nahin partaw-e-KHal-e-saqi
hai kaf-e-duKHtar-e-raz mein sipar-e-jam-e-sharab

KHak mai-KHane ki ban jati qayamat pis kar
har qadam par jo lachakti kamar-e-jam-e-sharab

aaj mai-noshon ka majma hai kahan ai saqi
kaun si bazm mein hai shor-o-shar-e-jam-e-sharab

jitne mai-KHwar hain saqi se gale milte hain
sahar-e-id bani hai KHabar-e-jam-e-sharab

shisha-e-mai se uDa kag kabutar ki tarah
nama pahunchane chala nama-bar-e-jam-e-sharab

mauj-e-sahba pe gira sapna-e-mina uD kar
hai mere samne tegh-o-sipar-e-jam-e-sharab

mai pilata hai agar Dhanp le sina saqi
tere joban ko lagegi nazar-e-jam-e-sharab

aaftab aa ke sikhata hai chalan shab-bhar ka
raat ko hota hai akasr guzar-e-jam-e-sharab

dast-e-saqi mein rahe dast-e-qadah-kash mein rahe
gardan-e-shisha-e-sahba kamar-e-jam-e-sharab

mast karte hain do-alam ko yahi do KHud-mast
lazzat-e-naghma-e-mutrib asar-e-jam-e-sharab

kya ghazab hai ki tera honTh na chuse 'mail'
aur ho tere labon tak guzar-e-jam-e-sharab