aafaton mein ghir gaya hun zist se be-zar hun
main kisi ruman-e-gham ka markazi kirdar hun
muddaton kheli hain mujh se gham ki bedard ungliyan
main rabab-e-zindagi ka ek shikasta tar hun
dusron ka dard 'aKHtar' mere dil ka dard hai
mubtala-e-gham hai duniya aur main gham-KHwar hun

Ghazal
Aafaton mein ghir gaya hun zist se be-zar hun
Akhtar Ansari