اردو हिंदी
Aafat shab-e-tanhai ki Tal jae to achchha | Shaahi Shayari
aafat shab-e-tanhai ki Tal jae to achchha

Ghazal

Aafat shab-e-tanhai ki Tal jae to achchha

Rind Lakhnavi

;

aafat shab-e-tanhai ki Tal jae to achchha
ghabra ke jo dam aaj nikal jae to achchha

o jaan-e-hazin jaana hai ek din tujhe aaKHir
ab jae to behtar hai ki kal jae to achchha

jhukwa diya sar zoaf ne qatil ke qadam par
talwar agar us ki ugal jae to achchha

behtar nahin hai surat-e-jaanan ka tasawwur
dil aur kisi shai se bahal jae to achchha

ek sil hai kaleje pe nahin ruh badan mein
chhati ka pahaD aah pe Tal jae to achchha

diwana abas shahr ki galiyon mein hai barbaad
majnun kisi jangal ko nikal jae to achchha

o aatish-e-dil phunk de tan ashk baha de
bah jae to behtar hai ye jal jae to achchha

har martaba Dasne ke irade mein hai wo zulf
azhdar ye agar mujh ko nigal jae to achchha

phir rukna hai dushwar ye jab aai to aai
aise mein tabiat jo sambhal jae to achchha

tabut mera tham ke uThao mere yaro
wo bhi kaf-e-afsos jo mal jae to achchha

ai 'rind' milo yar se ya hath uThao
jhagDa chuke har shab ka KHalal jae to achchha