aafaq mein phaile hue manzar se nikal kar
chaha tujhe maujud-o-mayassar se nikal kar
din se bhi uThate nahin hum raat ke parde
KHwabon ke taaqub mein hain bistar se nikal kar
diwar ke sae mein bhi ek shahr hai aabaad
dekha hi nahin tu ne kabhi ghar se nikal kar
chashme pe jo pani ke liye hath baDhaun
chingariyan aa jati hain patthar se nikal kar
pahchan rahi thi mujhe sahil pe bichhi ret
ek lahr chali aai samundar se nikal kar
Ghazal
Aafaq mein phaile hue manzar se nikal kar
Ghulam Mohammad Qasir