اردو हिंदी
Aaenge nazar subh ke aasar mein hum log | Shaahi Shayari
aaenge nazar subh ke aasar mein hum log

Ghazal

Aaenge nazar subh ke aasar mein hum log

Aziz Nabeel

;

aaenge nazar subh ke aasar mein hum log
baiThe hain abhi parda-e-asrar mein hum log

lae gae pahle to sar-e-dasht-e-ijazat
mare gae phir wadi-e-inkar mein hum log

ek manzar-e-hairat mein fana ho gain aankhen
aae the kisi mausam-e-didar mein hum log

har rang hamara hai, har ek rang mein hum hain
taswir hue waqt ki raftar mein hum log

ye KHak-nashini hai bahut, zill-e-ilahi
jachte hi nahin jubba-o-dastar mein hum log

ab yun hai ki ek shaKHs ka matam hai musalsal
chunwae gae hijr ki diwar mein hum log

sunte the ki bikte hain yahan KHwab sunahre
phirte hain tere shahr ke bazar mein hum log