aaenge gar unhen ghairat hogi
wo na aae to qayamat hogi
hashr mein kaun sunega fariyaad
sadd-e-rah hadd-e-samaat hogi
nang-e-nazzara hai hum chashma-e-am
hum na dekhenge jo ruyat hogi
yak taraf ho ke rahenge yak-rang
hum ko aaraf se nafrat hogi
shikwa hai din-e-wafa mein ehdas
mujh se kahe ko ye bidat hogi
hain qayamat mein tammul kya kya
wasl ki kaun si saat hogi
reg hun chahiye dariya-e-sharab
mai-kade par na qanaat hogi
hai shab-e-wasl-e-do-alam gesu
wo jabin subh-e-shahadat hogi
bahr-e-rahmat hai do-alam ko muhit
mere mashrab ki si wusat hogi
mai se aaluda hua daman-e-husn
muttahim KHun ki tohmat hogi
khinchta tha koi un ka daman
KHak mein wasl ki hasrat hogi
ras hai chaara-e-bil-misl mujhe
qaid se aur bhi wahshat hogi
shoala-ru paDhte hain kalima tera
shama angusht-e-shahadat hogi
ghair ki aag mein jalne na diya
husn ki si kise ghairat hogi
washuda ghuncha-e-KHatir mat mang
muntashir bu-e-mohabbat hogi
zahr lagti hai unhen meri hayat
kyun ki manzur-e-shahadat hogi
kha gae nargis-e-shahla ka fareb
ki un aankhon mein murawwat hogi
teri zulfon ne chaDhae chille
dil ki is kuche mein turbat hogi
ban gae sat jahannum tah-e-KHak
kis ke pahlu mein ye hiddat hogi
kahin sar phoD ke mar rahiye 'bayan'
ek jahan se to faraghat hogi
Ghazal
Aaenge gar unhen ghairat hogi
Bayan Meeruti