aae the tere shahr mein kitni lagan se hum
mansub ho sake na teri anjuman se hum
bezar aa na jaen gham-e-jaan-o-tan se hum
apne watan mein rah ke bhi hain be-watan se hum
yun be-ruKHi se pesh na aa ahl-e-dil ke sath
uTh kar chale na jaen teri anjuman se hum
ye sar-kashi junun nahin pindar-e-ishq hai
guzre hain dar se bhi usi bankpan se hum
mehr-o-mah-o-nujum ki manind roz-o-shab
har jaur-e-asman pe rahe KHanda-zan se hum
milte hain roz dast-e-saba se payam-e-gul
zindan mein bhi qarib hain ahl-e-chaman se hum
'shair' adab ke mohtasibon ko KHabar nahin
kya kaam le rahe hain taghazzul ke fan se hum
Ghazal
Aae the tere shahr mein kitni lagan se hum
Himayat Ali Shayar