aae the kyun sahra mein jugnu ban kar
tapti lu mein halki si KHushbu ban kar
chalna, rukna donon mein barbaadi hai
dasht-e-wafa mein aae to ho aahu ban kar
kuchh to ajab hai warna aaj ki duniya mein
rahta kaun hai kis ka ab bazu ban kar
aaina-KHana dil ka tab mismar hua
aai haqiqat samne jab jadu ban kar
sara zamana sar aankhon par leta hai
ruswa hun ghar mein apne urdu ban kar
kuchh to junun ko apne taghayyur karna tha
KHun-e-jigar hi bah nikla aansu ban kar
ruh mein bhi kya utre hain mani is ke
yun to sarapa rahte ho ya-hu ban kar
yun to bayan us husn ka karna tha dushwar
aaya mere ashaar mein kuchh pahlu ban kar
kab kar den sairab kisi ko wo, un ke
sar se ghaTaen lipTi hain gesu ban kar
un ke ishaare yun bhi qatil hain 'KHalid'
aur qayamat hoti hai abru ban kar

Ghazal
Aae the kyun sahra mein jugnu ban kar
Quaiser Khalid