aae kya tera tasawwur dhyan mein
kuchh se kuchh hai aan hi ki aan mein
yan ishaaraat-e-ghalat par zindagi
wan ada hai aur hi saman mein
tegh-e-qatil hai rag-e-gardan meri
aab-e-paikan dam tan-e-be-jaan mein
ya to qatil ho gaya rahm-ashna
ya paDe honge kahin maidan mein
ashk apne phir phira kar har taraf
aae aaKHir tere hi daman mein
hae kaise kaise warasta-mizaj
sar-nigun dam band hain zindan mein
kaba aankhon mein samata hi nahin
kya buton ne kah diya kuchh kan mein
aankh ke uThte hi uThte kuchh na tha
hum chale arman hi arman mein
dair-o-kaba par nahin mauquf kuchh
aur hi kuchh shan hai har shan mein
girya-e-sad-sirri aur hum kam-hausla
kashti apni aa gai tufan mein
jannat o dozaKH se kya ummid-o-bim
hasraten si hasraten hain jaan mein
KHud-parasti aur islam-afrin
kaba-e-ashiq hai kufristan mein
ai 'qalaq' kal tak gada-e-dair the
aaj dawe ho gae iman mein
Ghazal
Aae kya tera tasawwur dhyan mein
Ghulam Maula Qalaq