aae kya kya yaad nazar jab paDti in dalanon par
us ka kaghaz chipka dena ghar ke raushan-danon par
aaj bhi jaise shane par tum hath mere rakh deti ho
chalte chalte ruk jata hun sari ki dukanon par
barkha ki to baat hi chhoDo chanchal hai purwai bhi
jaane kis ka sabz dupaTTa phenk gai hai dhanon par
shahr ke tapte fuTpathon par ganw ke mausam sath chalen
buDhe bargad hath sa rakh den mere jalte shanon par
saste damon le to aate lekin dil tha bhar aaya
jaane kis ka nam khuda tha pital ke gul-danon par
us ka kya man-bhed bataun us ka kya andaz kahun
baat bhi meri sunna chahe hath bhi rakkhe kanon par
aur bhi sina kasne lagta aur kamar bal kha jati
jab bhi us ke panw phisalne lagte the Dhalwanon par
sher to un par likkhe lekin auron se mansub kiye
un ko kya kya ghussa aaya nazmon ke unwanon par
yaro apne ishq ke qisse yun bhi kam mashhur nahin
kal to shayad nowel likkhe jaen in rumanon par
Ghazal
Aae kya kya yaad nazar jab paDti in dalanon par
Jaan Nisar Akhtar