aae kuchh abr kuchh sharab aae
is ke baad aae jo azab aae
baam-e-mina se mahtab utre
dast-e-saqi mein aaftab aae
har rag-e-KHun mein phir charaghan ho
samne phir wo be-naqab aae
umr ke har waraq pe dil ki nazar
teri mehr-o-wafa ke bab aae
kar raha tha gham-e-jahan ka hisab
aaj tum yaad be-hisab aae
na gai tere gham ki sardari
dil mein yun roz inqalab aae
jal uThe bazm-e-ghair ke dar-o-baam
jab bhi hum KHanuman-KHarab aae
is tarah apni KHamushi gunji
goya har samt se jawab aae
'faiz' thi rah sar-ba-sar manzil
hum jahan pahunche kaamyab aae
Ghazal
Aae kuchh abr kuchh sharab aae
Faiz Ahmad Faiz